Monday, March 26, 2012

Yaadein



Wo School Ki Sidi Par Pyar Bhari Baate,

Aate Jato Per Comment Ki Barsate,

Wo Sylabus Ki Tension, Wo Exam Ki Raate,

Wo Canteen Ki Party,

Wo BitrhDay Ki Laate,

Wo Ruthna Manana,

Wo Bunk Wo Mulaqate,

Wo Lab Wo Library,

Wo Sona Temprary,

Wo Movie Wo Music,

Wo Cards Ka Magic,

Wo Proposal Ki Planing Mein Raat Ka Guzarna,

Har Ek Ko Dost Ki Bhabhi Bataana,

Lecture Se Jyaada Usko Niharna,

Fir Class Me Pichhe Ki Seat Pe Sona,

Uski Nazar Mein Sarif Ban Jaana,

Na Rahenge Wo Din,

Na Rahengi Wo Ratein,

Na Rahengi Wo Hassi Bhari Mulakaate,

Agar Rahengi Kuch To Bas Yaadein

Sunday, March 18, 2012

Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do



Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do,
Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do,

Apne Aapko Meri Aagosh Mein Karke,
Mujhe Pariyo Ke Des Mein Khone Do,

Apni Chudiyon Ki Khan Khan Se
Tumhare Kaanon Mein Ras Gholne Do,

Apne Lambe Kaale Baalon Se
Ek Ghata Sawan Hone Do,

Apne Honthon Se Phir Mujhe
Ek Ghunt Jaam Pine Do,

Apni Muskurahat Se Phir Ek Seher Hone Do,
Apne Dilki Dhadkan Ko Aaj Betab Hone Do,

Aaj Ashiq Teri Aankhon Mein Phir Dekha Hai Apne Aapko,
Na Band Karna Ye Palkein Kuch Der Ke Liye To Apna Hone Do,

Aaj Mujhe Ek Gunah Karne Do,
Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do,
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...