Friday, August 12, 2011

chal kahi aeyse deas ham jayei


chal kahi aeyse deas ham jayei
jis jagha piyaar or mohabbat ho
koi nafrat na shikayat ho jahaan
har taraaf phool ho bahaarei hon
door tak ham jahaan nazar dale
piyar palta ho piyar basra ho
na koi apnaa ??? na praya ho
har taraf insaniyat ka sayaa ho
koi na jhut..??? na koi dehshat
piyaar hi piyar ki wo dunia ho
ik duje ko sab lagaayen galle
na kisi ko kisi se dehshat ho
har zaban par sirf allah ho
har zaban par pehlaa kalma ho
jo khuda ne kahaa sabhi se he
pehle insaniyat ka chehra ho
har labbon par khilee taabassum ho
har kisi dil mei, (quraan) basta ho
ik ho kaar rahei saabi bhaai
chahe hinndu, ho ya sikkh, bhai
piyar ki har taraf sune boli
beti babbul ki hon sabbhi bholli
biwi hon nek dil sabhi ki jahaan
maa bhi sab ko hi..piyar deti ho
bhai behnon pe jan dete ho
behne sirf, bhai ko hi chahty ho
maal dolat ki na rahe chahaat
sirf insanniyat ki qimaat ho
ya khuda tu bnaa de aesa jahaan
jis me bas piyar.piyar paltaa ho
karle .bibbo. ki duaa tu qabool
har taraf phir to sirf jannate ho

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...